Friday, July 6, 2018

Bachpan


"Kaash bachpan wapas aa paata" 
I'm sure aaj jitne bhi log ye blog padh rahe honge unn sabne kabhi na kabhi esa zaroor socha hoga aur sochein bhi kyun na afterall, yeh hum sabki zindagi ki comic ka sabse best part raha hai.
ohk ohk..let's time travel..
So, before we start here's a small task for you my dearest readers..all you need to do is just recall your good old childhood days as you go on reading....alright let's begin,

Ek pyara sa baccha, papa ke sath jaa kr नाई se karayi hui wo haircut jo ek unchi si kursi ke upar lakdi ka patla rakh uspar betha kar karayi gayi, gale me usne ajeeb sa kapda bandh dia hota tha maano operation theatre me jaana ho, chahe ro kar karao ya hass kar bakra to ab aagya qurbaan hone...hahaha

Rang birange atrangi kapde pehna diye jaatey the or wo pehen kar bhi hum shakira aur salman khan ki tarah itrate the, aur itra te bhi kyun na.. us waqt humare paas apna ghar, jeb me lottery ke note, haath mei "dhoom machale dhoom machale dhoom" bajane wala phone, remote control cars hua karti thi itrane ke liye.Hum uss waqt shaan se keh sakte the "aaj mere paas paisa hai,gaadi hai,bunglow hai,bank balance hai aur maa bhi hai" hehehehe 

Ladkiyon ke paas barbies, wo chhote chhote bartan(jinme kabhi na kabhi mitti or patton ka khana zarur bana hoga), make up products or duppatte se bnai hui wo saaree hua karti thi aur ladko ke wo cars,bats,balls...et cetera et cetera hua karte the...


Woh cuties ban kar school jana, uniform,do ponytails,socks,shoes, Hannah Monttana aur Ben ten wale bags, Tom and Jerry, Bob the builder wale bottles aur tiffins...school se laut te hi bags fek kar khelne nikal padna. ..aur ghar laut kar dekho to Oswald, Noddy,Power rangers, Hero('wo bhakti hi shakti hai' wala :p),shaka laka boom boom wali pencil, shararat ki woh pariyan Hatim, humara intezar kar rahe hote the...inhe dekhte huye sofe par so jana or subah aankh khulte hii khud ko bed par pana was so magical...Computer par Aladin aur Mario, keypad phones me snake aur bouncing ball wale games, khaane ke liye mumma chhoti chhoti rotiyan deti thi,papa apne haathon se khilate the, saari ziddein aasani se poori ho jati thi, bachpan ke kho jaaney ka sabse zyada ehsaas tab hota hai jab wo chhota baccha jo maa papa ki god mei rota tha woh ab unse chhup chhup kar rota hai..jab wo samne hokar bhi uski aankhon me wo dard nhi dekh paate....


Kya waqt tha wo bhi.. na koi rok tok, na koi zimmedari, na guzre hue kal ki nadaamat na aane wale kal ki fikr,na mohhobbat,na toote huye dil, na bikhri huyi rooh, na jhuti muskurahatein,na dard, naa aansu,na chalaakiyan,na nafratein,na hasad,na takkabur bas maasoomiyat aur befikri....Kharche kam aur khushiyan zyada.. 


Woh naadaniyan, woh sharatein, woh mastiyan, woh aazadiyan, woh befikri kab zimmedariyon, samajhdariyon, pareshaniyon me tabdeel ho gyi pata hi na chala..hum kitne jaldi badey ho gye yaar woh 7 bje se 1 bje tak school janey wala baccha aaj 9 se 5 ki naukri karne me itna masroof hai ki usey apna bhi hosh nahi hai..

Khair hum woh bachpan to wapas nahi laa sakte but guys hum apne ander ke bacche ko humesha zinda rakh sakte hain...aur shayad itna qafi hoga zindagi ko sukoon se guzarne ke liye...Agree??


Friday, June 22, 2018

Woh ek sawal...


woh sirf sawal nahi tha esa laga maano wo mujhse meri zindagi ke tajurbe me se ek hissa maang rahi ho,

"Appi, dil tootna kya hota hai?"


Uss waqt kehna bhot kuch tha par samajh hi naa aaya, bolne ke liye ek alfaaz bhi na aaya, phir mai sochne par majboor hoti chali gayi....


Dil tootna kya hota hai ye uss maa se pucho jisne ye kehkar khana nahi khaya ki usey bhook nahi hai taki uske bachchon ka pet bhar sakey, ye un budhe maa baap se pucho jinhone vruddhaashram me dum todd diya aakhiri saans bhi iss ummeed par lekar ki unka beta unhe lene zaroor aaega, ye uss walid se pucho jo apni beti ke liye dahej na juta paya aur usne apni beti ko sasural me taaney sunte paya, ya uss aulad se pucho jisne apne pita ko aiyyashiyan karte dekha ho or maa ko sabr se muskurate dekha ho...


Ye uss bete se pucho jisne maa ke aanchal se aansu ponchne ki umr mei maa ki qabr ke paas bethkar aansu ponche ho, jisne naadaniyon ki umr mei zimmedariyon ko sambhala ho, jisne apne sapne qurbaan kar apno ki khwahishon ko muqqammal kia ho..


Ye uss patni se pucho jiska pati nahi balki uske khoon se lipti hui wardi sarhad se wapas lauti ho,


Ye uss aashiq se pucho jisey uski mohhabbat ye kehkar chorr gyi ki paise ke bina koi tumhara nahi,ya us mehbooba se pucho jisey uski mohhabbat ne tohfe me ghadi to di ho par waqt nahi, jisne ki ho kabhi uski qadr nahi,

Ye us raqeeb se pucho jo apne pyar ka izhar kar na paaya or phir uski mohhabbat ko kisi aur ka hath thame paaya,
Ye un ishaqzaado se pucho jinhe muashrey ne ye kehkar thukraya ho ki humari qaum ek nahi, 
Ye uss ladki se pucho jisey chaar logon ne kaala, badsurat keh kar neecha dikhaya ho,
Ye taqdeer se haare uss shaks se pucho jo sajdey me fir jhuk na paaya ho, jisne mandir ki orr fir apna rukh na paaya ho,

Ye duniya ke har uss insaan se pucho jisne laakhon ki bheed me khud ko tanha paaya ho, jisne apne hi apno se kai baar dhoka khaya ho, kai baar dhoka khaya ho.....


So..to all the people out there kabhi kisi ka dil na todein wo sirf ek hota hai aur wo bhi kaanch sa nazuk beshaq daant todein, haddiyan todein, aur kuch zyada hi dushmani ho to uska phone todd dein...hahaha...and to my dearest younger sister, shayad tumhe jawab mil gaya ho and i wish kabhi dil tootne ke maayne tumhe zindagi se na seekhna padein.


love 

your's Appi :)





Saturday, June 9, 2018

Dosti

Dosti


Jii haan, DOSTI 
Yeh alfaaz padhte hi apke zehan me apne kuch bandaron ka chehra aaya hoga hahahaha...no offence ye likhte waqt mujhe bhi apne azeez langoor yaad aarhe hain.. 

Ab inke baarey me kya kahiye...yun smjh lijiye zindagi ki gaadi ke tyres hote hain dost, inke bina zindgi ka chalna impossible hai...and most importantly in tyres ki koi stepney nahi hoti.They are all the irreplacable ones, the special ones. Ye woh azeem hastiyan hain jo apko kbhi akela mehsoos nahi hone dete especially tab jab aap ke tiffin me tasty khana ho, Ya apko kisi party me jana ho, kisi se aankh ladana ho, crush ko patana ho, sutta lagana ho aur bhi na jaane kitni kaali kartooton me ye apke partners in crime hote hain....

Zindagi ke kamre ki tubelight hotey hain dost, inke bina zindgi mei andhera hi andhera hai.Ye zindagi se mili woh trophies hain jin pr kabhi dhul nahi jamti, Ye woh daulat hai jo sirf qismat walo ke paas hoti hai.

Doston ke sath long drives,tapre ki chai,canteen ke samose,nukkad ki chaat,bematlab ki baatein,bewajah ki hasi,raah chalte logon ko taadnaa,crush ke pictures dikha kr preshan krna,ek dusre ki behisaab beizzatti,maa behn ki gaaliyan,huddangi,mast malangi, or na jaane kya kya...yeh mehez lafz nahi jazbaat hain.. all those shared screenshots,long phone calls,tagged memes,vulgar songs,wierd dances,dirty jokes, funny names,having each other's ugliest pictures,aur aur aur in sab ke beech some serious talks,discussions about life goals,about the person you love besides all those everyday changing crushes,sharing every single detail about everything.It just goes on and on and on...



Halaki dosti ko chand lafzon me samet pana namumkin hai, dosti to jazbaaton se bhara hua wo tokra hai jisey hum humesha apne sath sahej kr rkhte hain...Dosti woh rishta hai jo zindagi bhar humare sath rehta hai bachapan ke chaddi buddies se lekr pachpan ke evening walks wale partners tak...kisi ko dost me humsafar mil jata hai to kisi ko humasafar mei dost.

Is atrangii si duniya me ye bedhangii si dosti zindagi ko khubsurat bnaye rakhti hai, jab tak ye langoor sath hain zindagi ka har lamha khaas hai..!!!

Monday, June 4, 2018

zindagi

zindagi

Zindagi kabhi gulzar hoti hai to kabhi not so gulzar hoti hai...but the best part is ye jesi bhi ho badi mazeydaar hoti hai, ye apko humesha ek ke sath ek free wala offer deti hai...ups and downs, slumps and pumps, joys and tears...and i guess that's good enough after all duniya me sabhi best cheezein pairs me hi milengi..like what if u get biryani without raaita!!!! hahahaha, it sounds terrible ;)

Sunne me ek chhota sa lafz hai...magar ZINDAGI ke mayne kuch itne badey hain ki shayd hum sab ki samajh ke coverage area se hi parey hain.

Zindagi kabhi aaram deti hai mandir se aarhi ghantiyon ki awaz sunli ho jese or kabhi bechain kr deti hai maano mandir ke bahar se koi apki chappal le gya ho jese...
Zindagi kabhi sukoon deti hai..bilkul uss meethe sharbat ki tarah jo ek rozdaar ko iftar me poore din ki ibadat ke bad milta hai   or kabhi kabhi besukoon kr deti hai rozdaar ko satane wale shaitan ki tarah.Ye khush kr deti hai do pal mei maano bazar ki bheed mei ek pyara bachcha muskata nazar aagya ho or rula bhi deti hai pal bhar mei jese us muskate bachchhe ke hath se uski chocolate cheen li ho.

Well, i know i gave weird examples...par esi hi to hoti hai zindagi..
aaj hasaegi to kal rulaegi zaroor, hisaab barabar krna bakhubi aata hai isey.

Anyway, zindagi mera boyfriend to nhi hai jo mai uske baarey me itna kuch bata rahi hun..par ye jo bhi hai or jesi bhi hai, isey kuch ese jeeyo ki misaal ban jao, ki jab isey tata bye bye kaho dil me koi regret na rahe. Jo dil kahe wo kr dalo...apne passion ke sath aage bdhne ka dil ho to aaj hi wo 7 ghante wali boring naukri chorr do, kisi se apne pyar ka izhar karna ho to darr mat bol daal, kisi se apni galtiyon ki maafi mangni ho to soch mat kar daal,jinhone tumhare sath bura kia h unhe jldi se maaf krdo,bhari sadak pr barish mei dance krna ho to wo bhi kr daalo apni life ke hero|heroine to hum khud hain na.Unke kareeb raho hmesha jo apse pyar krte hain jinse aap pyar krte hain,kal ka kya bharosa tommorow is not promised choose to be happy coz zindagi na milegi dobara.

Nafraton ke baazar mei mohhabbat ke ful bicchaate chalo...is sansaaar me andhera bhot hai tum apne hisse ki torch jalate chalo :p