Friday, July 6, 2018

Bachpan


"Kaash bachpan wapas aa paata" 
I'm sure aaj jitne bhi log ye blog padh rahe honge unn sabne kabhi na kabhi esa zaroor socha hoga aur sochein bhi kyun na afterall, yeh hum sabki zindagi ki comic ka sabse best part raha hai.
ohk ohk..let's time travel..
So, before we start here's a small task for you my dearest readers..all you need to do is just recall your good old childhood days as you go on reading....alright let's begin,

Ek pyara sa baccha, papa ke sath jaa kr नाई se karayi hui wo haircut jo ek unchi si kursi ke upar lakdi ka patla rakh uspar betha kar karayi gayi, gale me usne ajeeb sa kapda bandh dia hota tha maano operation theatre me jaana ho, chahe ro kar karao ya hass kar bakra to ab aagya qurbaan hone...hahaha

Rang birange atrangi kapde pehna diye jaatey the or wo pehen kar bhi hum shakira aur salman khan ki tarah itrate the, aur itra te bhi kyun na.. us waqt humare paas apna ghar, jeb me lottery ke note, haath mei "dhoom machale dhoom machale dhoom" bajane wala phone, remote control cars hua karti thi itrane ke liye.Hum uss waqt shaan se keh sakte the "aaj mere paas paisa hai,gaadi hai,bunglow hai,bank balance hai aur maa bhi hai" hehehehe 

Ladkiyon ke paas barbies, wo chhote chhote bartan(jinme kabhi na kabhi mitti or patton ka khana zarur bana hoga), make up products or duppatte se bnai hui wo saaree hua karti thi aur ladko ke wo cars,bats,balls...et cetera et cetera hua karte the...


Woh cuties ban kar school jana, uniform,do ponytails,socks,shoes, Hannah Monttana aur Ben ten wale bags, Tom and Jerry, Bob the builder wale bottles aur tiffins...school se laut te hi bags fek kar khelne nikal padna. ..aur ghar laut kar dekho to Oswald, Noddy,Power rangers, Hero('wo bhakti hi shakti hai' wala :p),shaka laka boom boom wali pencil, shararat ki woh pariyan Hatim, humara intezar kar rahe hote the...inhe dekhte huye sofe par so jana or subah aankh khulte hii khud ko bed par pana was so magical...Computer par Aladin aur Mario, keypad phones me snake aur bouncing ball wale games, khaane ke liye mumma chhoti chhoti rotiyan deti thi,papa apne haathon se khilate the, saari ziddein aasani se poori ho jati thi, bachpan ke kho jaaney ka sabse zyada ehsaas tab hota hai jab wo chhota baccha jo maa papa ki god mei rota tha woh ab unse chhup chhup kar rota hai..jab wo samne hokar bhi uski aankhon me wo dard nhi dekh paate....


Kya waqt tha wo bhi.. na koi rok tok, na koi zimmedari, na guzre hue kal ki nadaamat na aane wale kal ki fikr,na mohhobbat,na toote huye dil, na bikhri huyi rooh, na jhuti muskurahatein,na dard, naa aansu,na chalaakiyan,na nafratein,na hasad,na takkabur bas maasoomiyat aur befikri....Kharche kam aur khushiyan zyada.. 


Woh naadaniyan, woh sharatein, woh mastiyan, woh aazadiyan, woh befikri kab zimmedariyon, samajhdariyon, pareshaniyon me tabdeel ho gyi pata hi na chala..hum kitne jaldi badey ho gye yaar woh 7 bje se 1 bje tak school janey wala baccha aaj 9 se 5 ki naukri karne me itna masroof hai ki usey apna bhi hosh nahi hai..

Khair hum woh bachpan to wapas nahi laa sakte but guys hum apne ander ke bacche ko humesha zinda rakh sakte hain...aur shayad itna qafi hoga zindagi ko sukoon se guzarne ke liye...Agree??


8 comments:

  1. Excellent arzoo 👌👌 very good job
    ...Really I always think about this😊& you remember those days with acute moments.. I loved it

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank you so much...this means a lot to me :)

      Delete
  2. क्या खूब परख है जिंदगी को सही ढंग से बयाँ करने की ���� keep writing Aqureshi ❤️....

    May Allah bless ur telent ☺️

    ReplyDelete
  3. So true...very nice Arzoo😘😘

    ReplyDelete
  4. Wah arzoo wah👍🏻👍🏻.....bachpan ki saari meethi yaadein yaad aa gai♥

    ReplyDelete
  5. Sands Casino Resort and Spa | Atlantic City NJ
    Discover the elegance and fortune of 바카라사이트 the 메리트카지노 Sands Casino Resort and Spa. With over 2,000 slots and 샌즈카지노 70 table games, the casino's gaming floor offers some of the most

    ReplyDelete